Aasman Ke Paar by – (2010)

1 view

Pairon tale se zameen sar ka de hum woh bala hain
Tez hawaon mein shamme jala de sochta kya hai (sochta kya hai)
Tashan mein apni mast hai maula bas rehne do
Himmat-e-marda madat-e-khuda yeh bas kehne do
Ke aasman ke paar chalo paar chalo yaar, ke aasman ke paar chalo paar chalo

(aasman ke paar)

Sholon se khelein bhi par hai parwaane bhi
Aur ragon mein tez hai khoon
Shakde na taale hain, hum bhi hai matwaale hain, aaj hai rubaru (rubaru)
Rang jamayenge, woh kar dikhayenge
Waqt hai apna daur shuru
Apna safeena hai har lamha jeena hai, hai yahin justaju
Thaan liya jo kar ke rahenge koyi na shak hai
Har sapna sach kar ke rahenge dekhna ab hai
Ke aasman ke paar chalo paar chalo yaar, ke aasman ke paar chalo paar chalo
Ke aasman ke paar chalo paar chalo yaar, ke aasman ke paar chalo paar chalo

Dariya ka rukh modey, chuppi ko hum todey
Sehaj hi paaye aisa sukoon
Nayi dishayon mein, behaki hawaon se
Hum kare guftagu
Sagar ke dhaare hain, hum toh banjaare hain
Pucho na aise hai kyun
Naya tarana hai, apna zamana hai
Sang hai main aur tu

Pairon tale se zameen sar ka de hum woh bala hain
Tez hawaon mein shamme jala de sochta kya hai
Tashan mein apni mast hai maula bas rehne do (bas rehne do)
Himmat-e-marda madat-e-khuda yeh bas kehne do
Ke aasman ke paar chalo paar chalo yaar, ke aasman ke paar chalo paar chalo
Ke aasman ke paar chalo paar chalo yaar, ke aasman ke paar chalo paar chalo

Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply