Har Kisi Ko by Nikhil DSouza (2013)

3 views

Do lafz ki hai, baat ek hi hai
Kyun darmiyaan phir ruki ruki
Keh bhi naa paayein
Reh bhi na paayein
Kyun bewajaah hai, ye bebasi

Tum mein hum hain
Hum mein tum ho
Tum se hum hain
Hum se tum ho
Kismaton se milte hain do dil yahaan

Har kisi ko nahi milta
Yahan pyaar zindagi mein
Har kisi ko nahi milta
Yahan pyaar zindagi mein

Khush naseeb hain hum
Jinko hai mili
Ye bahar zindagi mein
Har kisi ko nahi milta
Yahaan pyaar zindagi mein

Pyaar na ho toh zindagi kya hai
Yaar na ho toh bandagi kya hai
Pyaar na ho toh zindagi kya hai
Yaar na ho toh bandagi kya hai

Tujh se hi har khushi hai
Tere dum se aashiqui hai, jaan le

Mill jaaye hum toh
Sab kuch sahi hai
Phir iss tarah kyun, hain ajnabi

Tum mein hum hain
Hum mein tum ho
Tum se hum hain
Hum se tum ho
Kismaton se milte hain do dil yahaan

Har kisi ko nahi milta
Yahaan pyaar zindagi mein
Har kisi ko nahi milta
Yahaan pyaar zindagi mein

Tu mohabaat hai, ishq hai mera
Ik ibaadat hai, saath ye tera
Tu mohabbat hai, ishq hai mera
Ik ibaadat hai, saath ye tera

Jab dil se dil mile hain
Phir kyun ye faasle hain, iss tarah
Aa bol de tu, yaa bol du main
Kab tak chhupaayein ye bekhudi

Tum mein hum hain
Hum mein tum ho
Tum se hum hain
Hum se tum ho
Kismaton se milte hain do dil yahaan

Har kisi ko nahi milta
Yahaan pyaar zindagi mein
Har kisi ko nahi milta
Yahaan pyaar zindagi mein…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply