Hum Na Tode by Vishal Dadlani (2013)

6 views

Ho pache na hatt jaare taau
Boss aa ryaa se, bera koni ke tane
Boss re boss

Hum na chode, tode, phode
Jo bhi humse panga le
Hum na chode, tode, phode
Jo bhi humse panga le

Collar nikal ke
Jeans phati daal ke
Duniya ko baandh ke
Apne rumaal se
Hum toh chale jhoomte
Daayein baayein ghoomte

Heyy masti full on re
Rokega kaun re
Are masti full on re
Rokega kaun re

Hum na chode, tode, phode
Jo bhi humse panga le
Hum na chode, tode, phode
Jo bhi humse panga le

Heyy jo bhi yahan baat karenga, akkad ke
Taang denge usko chaand pe, pakad ke
Apna toh mijaaz hi bada, hai manmaana

Hum hain boss
Baaki sab yahaan, ghulam hain
Aate jaate hum ko thokte, salaam hain
Apne hi usool pe chale, ye zamana

Maana humne hum dheeth hain
Lekin dil ke hum neat hain
Maana humne hum dheeth hain
Lekin dil ke hum neat hain

Geet yehi chhed ke
Apni guitaar pe
Fikron ka aasmaan
Phir se utaar ke
Hum toh chale jhoomte
Daayein baayein ghoomte

Masti full on re, rokega kaun re
Ho o masti full on re, rokega kaun re

Re khatam nahi hua, baawli booch
Abey dhol peet le
Re guitar baja le jackson ki aulaad
Re peepdi ne phhunk le
Hawa ni bhar ke andar
Re orchestra, bajaa..

Ho apni toh hai seedhi saadi si philosophy
Khaate peete mauz mein kate, yeh zindagi
Dil rahe khushi ke hi nashe mein, chakrayaa
Ho.. Hum to cheej hai kamal ki, pehchaan lo
Yaar jaa ke husn waalo se, ye jaan lo
Humne hi toh ladkiyon ka dil hai dhadkaya

Apne charche akhbaar mein
Chhapte rehte hain pyaar mein
Apne charche akhbaar mein
Chhapte rehte hain pyaar mein

Ishq hum toh karte hain apne hisaab se
Hum pe yakeen naa ho toh
Puchh lo janaab se
Ho hum toh chale jhoomte
Daayein baayein ghoomte

Masti full on re, rokenga kaun re
Masti full on re, rokenga kaun re

Hum na chhode, tode, phode
Jo bhi humse panga le
Hum na chhode, tode, phode
Jo bhi humse panga le

Ae taau boss chala gayaa
Ab kaahein ki uchhal-kood…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply