Khamoshiyan aawaaz hain
Tum sun ne to aao kabhi
Chhukar tumhe khill jayengi
Ghar inko bulao kabhi
Bekarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa..
Khamoshiyan..
Teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan..
Lipti huyi khamoshiyan
Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua
Jahan se zamane ko guzre zamana hua
Mera samay toh wahin pe hai thehra hua
Bataoon tumhe kya mere sath kya kya hua
Khamoshiyan ek saaz hai
Tum dhun koi laao zaraa
Khamoshiyan alfaaz hain
Kabhi aa gunguna le zara
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa.. haa..
Khamoshiyan..
Teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan..
Lipti huyi khamoshiyan
Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahaan
Khili chandani mein chhipi lakh khamoshiyan
Baarish ki bundon ki hoti kahaan hai zubaan
Sulagte dilon mein hai khamosh uthta dhuaan
Khamoshiyan aakaash hai
Tum udne toh aao zara
Khamoshiyan ehsaas hai
Tumhe mehsoos hoti hai kya
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zara.. haa..
Khamoshiyan..
Teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan..
Lipti huyi khamoshiyan…
Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.