Koi Jo Mila – Breathless by Shankar Mahadevan (1998)

2 views

Koi jo mila to mujhe aisa lagta tha
Jaise meri saari duniya main geeton ki rut aur
Rangon ki barkha hai khushbu ki aandhi hai
Mahki hui si ab saari fizaayen hain
Bahki hui si ab saari hawaayen hain
Khoyi hui si ab saari dishaayen hain
Badli hui si ab saari adaayen hain
Jaagi umangein hain, dhadak raha hai dil
Saanson main toofaan hain, hothon pe nagme hain
Aakhon main sapne hain, sapnon main beete hue
Sare vo saare lamhe hain

Jab koi aaya tha, nazron pe chhaya tha
Dil main samaya tha, kaise main bataun tumhe
Kaise use paaya tha, pyaare se chehre pe bikhri jo julphen
To aisa lagta tha jaise kohre ke peechhe
Ek os main dhula hua phool khila hai
Jaise badal main ik chaand chhupa hai
Aur jhaank raha hai jaise raat ke parde main
Ek savera hai roshan roshan aakhon main
Sapnon ka saagar jisme prem sitaron ki
Chaadar jaise jhalak rahi hai
Lahron lahron baat kare to jaise moti barse

Jaise kahin chandi ki payal goonjey
Jaise kahin sheeshe main jaam girey
Aur chhann se tootey jaise koi chhip ke sitaar bajaye
Jaise koi chaandni raat main gaye
Jaise koi hole se paas bulaye
Kaisi meethi baatain thi
Vo kaisi mulakaatein thi
Vo jab maine jaana tha
Nazron se kaise pighalte hain dil
Aur aarzoo paati hai kaise manzil
Aur kaise utarta hai chaand jameen par
Kaise kabhi lagta hai swarg agar hai
To bas hai yahin par

Usne bataya mujhe, aur samjhaya mujhe
Hum jo mile hain, hamein aise hi milna tha
Gul jo khile hain, unhe aise hi khilna tha
Janmo ke bandhan, janmo ke rishtey hain
Jabhi hum janme to hum yahin milte hain
Kaanon main mere jaise, shahed sa ghulne lage
Khwaabon ke dar jaise aakhon main khulne lage
Khwaabon ki duniya bhi kitni haseen aur
Kaisi rangeen thee khwaabon ki duniya
Jo kahne ko thee par kahin bhi nahi thee
Khwaab jo toote mere, aakh jo khuli meri
/
Hosh jo aaya mujhe
Maine dekha maine jaana
Vo jo kabhi aaya tha, nazron pe chhaya tha
Dil main samaya tha, ja bhi chuka hai
Aur dil mera hai ab tanha tanha
Na to koi armaan hai, na koi tamanna hai
Aur na koi sapna hai
Ab jo mere din aur ab jo meri raatein hain
Unmain sirf aansoon hain
Unmain seif dard ki ranj ki bataein hain
Aur fariyaadein hain
Mera ab bhi koi nahi main hoon aur khoye
Hue pyaar ki yaadein hain

Main hoon aur khoye
Huye pyaar ki yaadein hain
Main hoon aur khoye
Huye pyaar ki yaadein hain…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply