Fakeera by Rahat Fateh Ali Khan (2010)

1 view

Chaani jo khaak to mitt ke sona, tu ban gaya
Ghamon ki aag mein tap ke suraj, tu ban gaya
Chaani jo khaak to mitt ke sona, tu ban gaya
Ghamon ki aag mein tap ke suraj, tu ban gaya
Aaj paaya hai tune, sab kho ke mureeda
Mili jannat tujhe to, jab bigda naseeba
Fakeera
Fakeera
Fakeeerraaa
Fakera
Fakeeeraa

Haathon se nikli manzil jab yeh daaman chhoot gaya
Aye bekhabar tu benoor ho ke roshan ho gaya
Bhari yeh khaali si jholi jo tu bhatka dar badar
Yeh bhi na jaane yeh kaafir ki dua ka hai asar
Jo taare se toota, sab khwaish milegi
Zara haathon ko phailaa, mannatein sab milengi
Fakeera
Fakeera
Fakeeerraaa
Fakera
Fakeeeraa

Hua tabah aur hadd se zyada khoya jab qaraar
Udhi udhi tab saansein jaise udta hai gubaar
Socha kare kis pal mein dil ko raahat hai mili
Khuda ke ghar mein taalim tujhko gir ke jab mili
Aaj paya hai tune, sab kho ke mureeda
Mili jannat tujhe to jab bigda naseeba
Fakeera
Fakeera
Fakeeerraaa
Fakera
Fakeeeraa…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply