Hai Ye Maya by Usha Uthup (2011)

0 views

Na koi raat hai
Na koi din yahaan
Kya yeh andhera hai
Ki sirf hai dhuan

Aankhein dhoka khaati hain
Yeh kisko pata nahin
Jaane kya hai yahaan aur
Jaane yahaan kya nahin
Hai ye maya

Heere jo lagte hai woh
Mumkin hai angaarein ho
Chingaari lagte hai jo
Ho sakta hai taare ho

Aankhein dhoka khaati hain
Yeh kisko pata nahin
Jaane kya hai yahaan aur
Jaane yahaan kya nahin
Hai ye maya

Chehre hain sab ek se
Tu kaise pehchaanega
Dushman hai ya dost hain
Tu kaise yeh jaanega

Aankhein dhoka khaati hain
Yeh kisko pata nahin
Jaane kya hai yahaan aur
Jaane yahaan kya nahin
Hai ye maya

Aankhein dhoka khaati hain
Yeh kisko pata nahin
Jaane kya hai yahaan aur
Jaane yahaan kya nahin
Hai ye maya…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply