Jaaniya by Sidharth Basrur (2011)

6 views

Dil sunta hai… Teri sada
Aa rubaru, Ab toh zara
Bechain si… Meri zindagi
Sun kar teri, Yeh dastaan

Jeena mera, Aasan kar
Tu milke yeh, Ehsaan kar
Kahin kho gaya
Chain aur sukunn
Tere dard ko, Ab jaan kar

Jaaniya..
O.o.. jaaniya
Bas roye dil mera
Ansoo palkon pe
Nahin hai bewajaa
Dil hai gum sada jaaniya

Tujhe paa liya, ya kho diya
Iss baat par, dil ro diya
Ke chaah kar, tu na aa sake
Tu waqt hai, Guzra huaaaa…

Tujhe rakh liya, in yaadon ne
Ek phool sa, kitabon me
Iss dil me tu, rahega sada haa..
Aur mehkega, In sanson mein

Raaton mein tu jal jata hai
Chehre mein tu dhal jata hai
Tara hai tu mujh mein toota saa…

Neendon se jaga deta hai
Palko ko bhigo deta hai
Dariya hai tu mujh me dooba saa…

Har waqt khwabon ki tarah
Tu aata rahaaaa….

Jaaniya..
O.o… jaaniya..
Din kya raat kya
Ahat ho koi
Lagta hai sadaa..
Ke tu hai wahan jaaniya

Jaaniya..
O.o… jaaniya..
Bas roye dil mera
Aansoo palkon pe
Nahin hai bewajaa..
Dil hai gum sada jaaniya…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply