Jeevan Se Bhari Teri Aankhen by Kishore Kumar (1970)

20 views

Jeevan se bhari teri aankhen
Majboor karen jeene ke liye
Jeene ke liye..

Saagar bhi taraste rehte hain
Tere hoth ka ras peene ke liye
Peene ke liye..

Jeevan se bhari teri aankhen

Tasveer banaye, kya koi
Kya koi likhe tujh pe kavita
Rangon chhandon mein samayegi
Rangon chhandon mein samayegi
Kis tarah se itni sundarta
Sundarta..

Ek dhadkan hai tu dil ke liye
Ek jaan hai tu jeene ke liye
Jeevan se bhari teri aankhen

Madhuban ki sugandh hai saanson mein
Baahon mein kamal ki komalta
Kirnon ka tej hai chehre pe
Hirno ki hai tujh mein chanchalta
Chanchalta..
/

Aanchal ka tere hai saar bahut
Koi chaak jigar seene ke liye
Seene ke liye

Jeevan se bhari teri aankhen
Majboor karen jeene ke liye
Jeene ke liye..

Jeevan se bhari teri aankhen…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply