Khwahishein by Shreya Ghoshal (2012)

3 views

Khwaishon ka chehra kyun
Dhundhla saa lagta hai
Kyun anginat khwaihishein hain

Khwahishon ka pehra
Kyun thehraa sa lagta hai
Kyun yeh ghalat khwaihishein hain

Har modh par pe, phir se mud jaati hai
Khilte huye pal mein murjaati hai
Hai besharam, phir bhi sharmaati hai
Khwaihishein..

Zindagi ko dheere dheere
Dassti hain khwaishein
Aansun ko peete peete
Hansti hain khwahishein
Uljhi huyi kashmkash mein
Umar katt jaati hai..

Ha ha ha hmm..

Aankhein mich jaaye jo ujaalon mein
Kis kaam ki aisi roshni
O o bhatka ke naa laaye jo kinaron pe
Kis kaam ki aisi kashti

Aandhi har.. dheere se laati hai
Vaada kar.. dhokha de jaati hai
Muh pher ke hans ke chidaati hai
Khwahishein..

Zindagi ko dheere dheere
Dasti hain khwaishein
Ansoon ko peete peete
Hansti hai khwahishein

Zindagi ko dheere dheere
Dasti hain khwaishein..

Uljhi hui kashmakash mein
Umar kat jaati hai…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply