Kyon by Papon (2012)

3 views

Kyon, na hum tum
Chalein tedhe-medhe se raston pe nange paanv re
Chal, bhatak lena baawre
Kyon, na hum tum
Phire jaake almast pehchaani raahon ke pare
Chal bhatak lena baawre
Inn timtimati nigaahon mein
Inn cham-chamati adaaon mein
Luke huye, chhupe huye
Hai kya khayaal baawre

Kyun, na hum tum
Chale zindagi ke nashe mein hi dhut sarphire
Chal bhatak le na baawre
Kyun na hum tum
Talashein bageechon mein phursat bhari chhanv re
Chal bhatak lena baawre
Inn gungunati fizaaon mein
Inn sarsarati hawaaon mein
Tukar tukar yun dekhe kya
Kya tera haal baawre

Naa lafz kharch karna tum
Naa lafz kharch hum karenge
Nazar ke kankadon se
Khamoshiyon ki khidkiyan yun todenge
Mila ke mast baat phir karenge
Naa harf kharch karna tum
Naa harf kharch hum karenge
Nazar ki sayaahi se likhenge
Tujhe hazaar chitthiyaan
Khamoshi jhidkiyaan
Tere pate pe bhej denge

Sun, khankhanati hai zindagi
Le humein bulati hai zindagi
Jo karna hai woh aaj kar naa isko taal baawre
Aaha ha

Kyun, na hum tum
Chale tedhe medhe se raston pe nange paanv re
Chal bhatak lena baawre
Kyun, na hum tum
Phire jaa ke almast pehchani raahon ke pare
Chal bhatak lena baawre

Inn, tim-timaati nigaahon mein
Inn, cham-chamaati adaaon mein
Luke huey, chhupe huye
Hai kya khayaal baawre…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply