Mann Jaage by Shahid Maaliya (2012)

1 view

Mann jaage saari raat, mera dewaana
Mann maane na yeh baat, ke woh tha begaana
Mann jaage saari raat, mera dewaana
Mann maane na yeh baat, ke woh tha begaana
Hai khud se hi, khafa khafa
Kya chahiye, nahi pata,
Banwara…

Paaya woh na chaaha, chaaha woh na paaya
Jiske peeche bhaage, woh saaya hai re saaya
Kya kya raste dhoondhe, kya kya dukh na paaya
Par saaya thehra saaya, ke haathon mein na aaya

Koi subaah, jo main uthoon
Bujhe agan, mile sukoon
Banwara…

Ginta rehta taare, lotoon main angaare
Khud se ladta phirta, yeh jag ko thokar maare
Kheenche kheenche baithe, baithe baithe bhaage
Na sunta khudke aage, yeh pagal ho gaya re

Paaya woh na chaaha, chaaha woh na paaya
Jiske peeche bhaage, woh saaya hai re saaya
Kya kya raste dhoondhe, kya kya dukh na paaya
Par saaya thehra saaya, ke haathon mein na aaya

Hai zindagi muhaal kyun
Bana liya yeh haal kyun bata
Uljha uljha rehta na sunta na kuch kehta
Sooni sooni aankhon se, reh-reh paani behta
Toote saare naate, haara main samjhate
Bichhde din aur saathi, phir wapas nahi aate

Wapas nahi aate, wapas nahi aate

Yeh dard kyun, yeh pyaas kyun
Pheera kare, udaas kyun
Yeh ranj kyun, talaash kyun bataa
Banwara

Thandi aahein bharke, jeeta hai mar-mar ke
Pyaasa reh gaya hai dariya se guzar ke
Dhoke se nazar ke, jhokein se umar ke
Rait ke mahal sa, deh gaya hai bikhar ke

Thandi aahein bharke, jeeta hai mar-mar ke
Pyaasa reh gaya hai, yeh dariya se guzar ke
Dhoke se nazar ke, jhokein se umar ke
Rait ke mahel sa, deh gaya hai bikhar ke

Aaa.. aa.. aa…
Mann jaage, jaage re..
Mann jaage
Jaage jaage jaage, banwara…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply