Music Hi Hai by Kavita Seth (2010)

3 views

Sur taal ki baat hi kya, nau ras yeh kar de bayaan
Iss mein hai junoon, iss mein hai khushi, yeh naa ko kar de haan
Sangeet bina jeevan mein maza na aaye
Sangeet kahe sangeet hi sab farmaaye
Music hi hai, mann ko mehkaaye, music hi hai

Padhna likhna tujhe na bhaaye hai, bhaaye hai
Music na naukri dil laaye hai
Nadaan hai tu abhi yeh jaane kya maane kya
Bas kar de behas yeh tu
Chutpan hai teri abhi baaton mein baaton mein
Nanha sa thappad khaayega tu
Labzon mein saara jahan, iss se chalti duniya
Tu gyaan badhaa baabu ban ja, jaane de sa re ga ma pa
Padh itna ki maa naaz se sar ko uthaaye
Woh ban ja ki maa khushi se jhoomti jaaye
Shiksha hi hai, jag ko hai chalaaye, shiksha hi hai

Sangeet se sab chalta hai, sangeet se rab manta hai
Hai iss mein aisa jaadu, hai iss mein aisa jaadu
Beatles ko sun le maa tu, tak dhin ta kar le zara tu
Yeh dua toh kahin dawa hai
Sur mein bhi raam ko paa tu
Aye meri maa aye meri maa sangeet ki boli samjhe saari duniya
Aye meri maa aye meri maa sangeet woh nasha jo jaga de armaan
Khushi dilaaye gham yeh mitaaye masti mauj mein duba hi jaaye
Zameen pe hi jannat dikhlaaye

Teri baat mein hai dum toh, music bhaaye sab ko
Tu jeeta main haari, sangeet mein dum bhaari
Sangeet bina jeevan mein maza na aaye
Sangeet kahe sangeet hi sab farmaaye
Music hi hai, mann ko mehkaaye, music hi hai
Music hi hai, mann ko mehkaaye – 3 times


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply