O Saiyyan by Roop Kumar Rathod (2012)

4 views

Meri adhoori kahaani
Lo daastaan ban gayi
Ho tune chhuaa aaj aise
Main kya se kya bann gayi

Sehme huye sapne mere,
Haule haule angdaiyaan le rahe
Thehre hue lamhe mere,
Nayi nayi gehraiyaan le rahe

Zindagi ne pehni hai
Muskaan karne lagi hai itna karam kyun na jaane
Karvat lene lage hain armaan phir bhi
Hai aankh num kyun naa jaane
O saiyyan..

Odhu teri kaaya
Solah singaar main saja loon
Sangam ki yeh raina,
Iss mein tyohaar main mana loon
Khushbu teri choo ke, kastoori ho jaaun
Kitni pheeki thi main, sindoori ho jaaun

Sur se zara behki hui,
Meri duniya thi badi besuri
Sur mein tere, dhalne lagi
Bani re piya main bani baansuri

Zindagi ne pehni hai
Muskaan karne lagi hai itna karam kyun na jaane
Karvat lene lage hain armaan phir bhi
Hai aankh num kyun naa jaane
O saiyyan..

Mere aasmaan se
Jo hamesha gumsuda they
Chaand taare
Tune gardishon ki, lai badal di
Laut aaye, aaj saare

O saiyyan


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply