Us Bewafa Ki Yaad Mein by Agam Kumar Nigam (2009)

9 views

Us bewafa ki yaad mein mar mar ke ji raha hoon

Main hoon nahi sharaabi dar dar ke pi raha hoon
Behlaau kaise dil ko, jab ghum ho behisaab
Achchi ho ya khraab, sab kuch hai abb sharaab

Thoda pi leta hoon, thoda ji leta hoon
Dil ke in jakhmon ko thoda si leta hoon
Kal mila tha unse yun hi bas raahon mein
Woh bahot hi khush thi gair ki baahon mein

Jakhmon se bas bhari hai abb dil ki yeh kitaab
Achchi ho ya khraab, sab kuch hai abb sharaab
Achchi ho ya khraab, sab kuch hai abb sharaab

Zindagi mushkil hai, ji raha hoon phir bhi
Sab mana karate hai pi raha hoon phir bhi
Jab kabhi bhule se nind aa jaati hai
Woh mere khwaabon mein phir se chha jaati hai

Duniya sawaal puchhe kis kisko main du jawaab
Achchi ho ya khraab, sab kuch hai abb sharaab
Achchi ho ya khraab, sab kuch hai abb sharaab

Uss bewafa ki yaad mein mar mar ke ji raha hoon
Main hoon nahi sharaabi dar dar ke pi raha hoon
Behlaau kaise dil ko, jab ghum ho behisaab
Achchi ho ya khraab, sab kuch hai ab sharaab

Achchi ho ya khraab, sab kuch hai ab sharaab…

Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply