Mahek bhi kahani sunati hai,
Sunlo agar
Hawaaon ke zariye batati hai,
Samjho agar
Haal-e-dil haal-e-dil phoolon ki zuban
Mehfil mehfil kehti hai subah
Jhilmil jhilmil tarein dil mein bhi
Tumpe hai gin lo agar
Mahek bhi kahani sunati hai,
Sunlo agar
Cheente rango ke padte hi
Kore khawabon mein jadte hi
Mehfil ho gai ho gayi
Wo sabhi jo kabhi sooni sooni
Sooni sooni si galiyan thi
Woh sabhi kafila ban gai ban gayi
Kar lo kar lo tay yeh faasla
Sapno sapno ka ye ghonsla
Tinka tinka neendein chun ke bhi
Tum pe hai, tum pe hai
Bun lo agar
Mahek bhi kahani sunati hai,
Sunlo agar
Hawaaon ke zariye batati hai,
Samjho agar
Mahek, kahani sunati hai
Hawaaon ke zariye batati hai
Mahek, kahani sunati hai
Hawaaon ke zariye batati hai…
Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.