Breathless (The Reprise) by Shankar Mahadevan (1998)

2 views

Main hoon aur khoye Huye pyaar ki yaadein hain
Main hoon aur khoye Huye pyaar ki yaadein hain
Main hoon aur khoye Huye pyaar ki yaadein hain…

Ab jo mere din aur ab jo meri raatein hain
Unmein sirf aasun hain
Unmein sirf dard ki ranj ki baatein aur
Faryadein hain mera ab koi nahin
main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hai
Doob gaya hai dil gham ke andhare me
Meri saari duniya hai dard ke ghere main
Mere saare geet dhale aahon main
Banke deewana ab yahan wahan firta hoon
Thokar khata hoon un rahaon main

Jahan use dekha tha jahan use chaha tha
Jahan main hasa tha aur badmein roya tha
Jahan use paya tha pake khoya tha
Jahan kabhi fulon ke kaliyo ke saaye the
Rangeen rangeen mehki rut main
Har ek kadam pe ras rachaye the
Gulshan gulshan din main ujale the
Jagmag jagmag noor tha raaton main
Jhil mil jhil mil

Jahan maine khabon ki dekhi thi manjil
Jahan meri kashti ne paya tha sahil
Jahan maine paya thi palkhon ke chhav
Jahan meri bahon main nikhalti kisi ki mari mari bahein
Jahan ek chehre se hatti nahi thi meri nigahein
Jahan kal narmi narmi hi thi pyar hi pyaar hi tha hathon hath the
Jahan kal gaye the prem tarane
Jahan kal dekhe the sapne sunahne
/
Kisi ko sunaye the dil ke fasane
Jahan kal khayi thi jeene ki
Marne ki kasme todi thi duniya ki saari rasmein
Jahan kal barsa tha prit ka badal
Jahan maine thama tha koi aachal
Jahan pehli baar mein hua tha mein pagal

Ab un rahon mein koi nahi hai
Ab hai woh rahe viraan viraan
Dil bhi hai jaise hairan hairan
Jaane kaha gaya mera sapno ka mela
Aise hi khayalo mein khoya khoya
Ghum raha tha mein kabse akela

Chamka sitara jaise koi gagan me
Gunji saja koi mann aangan me
Kisi ne pukara mujhe mud ke jo dekha maine
Mil gaya khoya hua dil ka sahara mujhe
Jise maine chaha tha jise maine puja tha
Lot ke aaya hai, thoda sharminda hai, thoda ghabraya hai
Zulf pareshan hai kapte honth aur bheegi hui aankhein
Dekh raha mujhe gumsum gumsum
/
Uski nazar jaise puch rahi hai
Itna bata do kahi khafa toh nahi tum
Pyaar jo dekha phir meri nigahoon mein
Agle hi pal tha woh meri inn bahon mein
Bhool gaya mera dil jaise har gham
Badal gaya jaise duniya ka mausam
Jhoome nazare aur jhumi fizaye aur
Jhoome the mann aur jhumi hawaein
Jaise phir gaane lagi saari dishayen

Kitni hasi hai kitni suhani
Hum dono ki prem kahani
Hum dono ki prem kahani
Hum dono ki prem kahani…


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply