Khoon kharaba tabaahi
Inki hai pehchaan
Inki iss fitrat se **ghin bhi hairan
Kaun hai ye haivan,
Kaun hai ye shaitan
Puchh raha woh khuda..
Kaun hai ye anjaan
Kisne inhe banaya
Kya hai yeh insaan
Kaun hai ye haivan, kaun hai ye shaitan
Auraton aur bachho se
Majhabo ko kya khatra hai
Masoom ko jaat dharam se
Kya kuch lena dena hai
Kya kuch lena dena hai
Puchh raha woh khuda..
Kaun hai ye anjaan
Kaun hai ye haivan,
Kaun hai ye shaitan
Cheer diya dil sheheron ka
Raksh ka dikhaya darindi ka
Hosh me bhi behosh hai yeh
Kaisa sabak hai yeh bandagi ka
Kaisa sabak hai yeh bandagi ka
Puchh raha woh khuda..
Kaun hai ye anjaan
Kisne inhe banaya
Kya hai yeh insaan
Khoon kharaba tabaahi
Inki hai pehchaan
Inki iss fitrat se **ghin bhi hairan
Kaun hai ye haivan,
Kaun hai ye shaitan
Puchh raha woh khuda..
Sach mein yeh insaan
Sach mein yeh insaan
Kyaa sach mein yeh insaan
Comments
You must log in to post a comment.